Kya hai DIL ki haalat bataana nahi aata,kisi ko aise tadpana nahi aata,sunna chahte hai 1 baar fir aawaz unki,magar baat karne ka bahaana bhi nahi aata
Aaj kuch khas baat to jaroor hai ...... jo aap itne madhosh huwe ja rahe hain..... kahin ye bin piye jaam ka nasha to nahin.. jo aap itne Ashiq mizaz huwe ja rahe hain
Tute dil ki hasrato ka dil me basera rahega, Aankh meri jo royegi to dard tera rahega, kuch is tarah samaya hai rag rag me tera pyar, Aakhri saans rehne tak labon pe tera naam rahega.
Yaado me hamari woh bhi khoye honge, khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge, mana ki hasna ada hai gum chupane ki, par haste haste kabhi woh bhi roye honge