Gunaah karke saza se darty hain... Zeher pi ke dawa se darte hain... Dushmano ke sitam ka khauff nahi... Hum to apno ke rooth jaane se darte hain......
Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.
Aap ko dekh kar ye nigah jhuk jayegi, khamoshi ab har baat keh jayegi, padh lo in aankhon mein apni dastan, aapki kasam sari kaaynaat wahi tham jayegi.
Kitni mohbhat hai tumse humse bataya na gaya, shyad tum samaj n sake ya humi se samjaya n gaya. Tumne Karib aane ki koshish na ki aur humse haath badhaya na gaya.
Chot lagi dil par aur bikhar gaye hum,haath mein aaya jaam aur pee gaye hum,yaad aaya unka har wo toda vaada,aur unki har yaad mein fanaa ho gaye hum'.
Kabhi-Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Dosti Ka Asar Zara Der Se Hota Hai Unhe Lagta Hai Hum Kuch Nahi Sochte Unke Baare Me Par Har Baat Me Zikr Unka Hi Hota Hai