Tute dil ki hasrato ka dil me basera rahega, Aankh meri jo royegi to dard tera rahega, kuch is tarah samaya hai rag rag me tera pyar, Aakhri saans rehne tak labon pe tera naam rahega.
Hamare dosti ko na DIL se juda karna, zindgi mein na kabhi yeh gunah karna.. kuch pal chahe beet jaye tumse baat kiye bina, zindgi na beet jaye yeh dua karna...
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete, lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete, zuban humari himmat na kar payi, lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete