ga saku aapka nagma, par woh saaz kaha se lau, suna saku kuch aapko, par woh andaz kaha se lau, yun to chaand ki tareef karna aasan hai, par kar sake to aapki tareef woh alfaaz kaha se lau.
Kaun uthayega tumhari ye zafa mere baad,Yad ayegi bahut meri wafa mere jane ke baad,Shukra hai mahobat ne kiya itna range asar,Teen din usne na lagai mehndi mere jaane ke baad.