Kitni mohbhat hai tumse humse bataya na gaya, shyad tum samaj n sake ya humi se samjaya n gaya. Tumne Karib aane ki koshish na ki aur humse haath badhaya na gaya.
Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye, Subha hone ko hai mauhol banaye rakhiye, Kaun jane wo kis gali se guzre, Har gali ko phoolo se sajaye rakhiye!
Fir wahi fasaana afsaana sunati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho
Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.