Najron ko chhipa ke rakhna, kaatil hai teri nazar; Ek ko to maar diya tumne, karogi kitnon ko ghayal!! Ghayal karaana Ankhon ki adat nahi hoti hai Ghayal hone walon ki Neeyat kharab hoti hai
Ek tum hi ho jo hansati ho rulati ho, Dur jane ki baat kar fir pass bulati ho, Kitna nadan ho jata hun tumse milkar Meri aankhon mei jhank phool tum khilati ho
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye mein milne aau par tu bahar na aaye anjaan hai hamare pyar se vo ab tak ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,Samne aate hi nazar jhukate hai woh,Baat karte nahi, ya hoti nahi,Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
Tute dil ki hasrato ka dil me basera rahega, Aankh meri jo royegi to dard tera rahega, kuch is tarah samaya hai rag rag me tera pyar, Aakhri saans rehne tak labon pe tera naam rahega.
Poocho na us kaagaz se, jis per hum dil ke bayaan likhte hain, tanhaayion mein beeti baatein tamaam likhte hain, woh kalam bhi dewani ho gayi, jis se hum tumhaara naam likhte hain.....
Apki yad ne mujhe fir rula diya,bohut khush ho ap zalim jisne hame ye sila diya,2 shabd v likhna na ata tha hume,or aaj apki mohabbat ne mujhe shayar bana diya.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.