Ek aadmi cycle se jaa raha tha. Raaste me usne ekd ladki ko cycle maar di. Ladki : Ghanti nahi maari jaati kya Aadmi : Puri cycle maar di, ab kya ghanti alag se maaru.
Aik admi apni biwi ko dafna kay ghar ja raha tha kay achanak bijli chamki, badal garje, jor se baarish shuru hui dukhi aadmi bola: Lagta hai pahunch gai
Operation ke baad patient bola: "Doctor saahab, Kyaa ab main aap logo se mukt hun..?" Uttar mila: "Beta,Doctor to neeche reh gaye, Main to Chitragupt hun..!!
bikari : 50 paise de de ,maine 3 din se khana nahi khaya baba marvadi : 50 paise nahi 5 rupaye dunga,pehle yeh bata 50 paise mein khana kaha milta hai…”??
MAMU: Bhai, apne ko char mahine me Tamil sikhna padega. Kuch upay batao. MUNNA BHAI TAMIL kyun, aur char mahine ka kya chakkar hai? MAMU: Maine ek Tamil baccha adopt kiya hai, aur woh char mahine me bolne lagega.