Shareek thhey hum shaam-e-bazm main kahin, Teri yaad maenkhaane main bhulane ko kahin, Thhi umeed bandhi phir bhi is dil main, Laut aaogey tum mera saath nibhaane yahin
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Vo dekhte hain humein aur chhup jate hain Kehhni hai shayad kuchh baat par jane kyon ghbrate hain Jab bhi milte hain to bas ek chhota sa paigam de jate hain Par dil main hai jo baat kabhi honthon pe nahi late hain
Bata e ajnabi tera kya naam rakhun, Khawab rakhun to adhura reh jayega, Dil kahun to toot jayega Aa tera naam zindagi rakh doon, Maut tak to tera saath rahega
Aankh khuli to phir khwaab chale gaye jii behlane ke saare bahaane chale gaye yaad rehta nahi kuch bhi yaad kiye bina yaadoN me khokar jeene ke sahare chale gaye
Zindagi main jab jab unhe tanhai ne sataya hoga tab tab unhe hamara khayal aaya hoga gham ye nahi ki wo bhool gake hamko gham ye hai hai ki ro-ro ke bhulaya hoga
Khudaya mila de mujhko tu usse ek baar, Tham jaaye yeh shaikayato ka silsila ek baar, Dekh loon usko jee bhar ke ek baar, Kar loon apne dil ki har baat usse ek baar...