Chaahat teri, zehen pe chhati hi jaa rahi, Surat teri dilon me basti hi jaa rahi, Tera pyar mile ab, ya tera gham mile muze, aadat tere khayaal ki badhti hi jaa rahi..
Ae khuda, bhala hota, gar tu sirf ghum hi deta Use khushi ke saath jodne ki kya zarurat thi.. Bana deta muze uski zulfon ka koi gesu, Aashiq ya dost bananeki, kya zarurat thi..
Nazre bhi kya cheez hai ye aaj dekh liya, palke jhukaake usne teh-e-dil ko chhu liya Khuli aankh pe bhi hum bharosaa na kar sake, sapne mein isliye use fir se chhu liya..
Jaan chuke hum aaj, ke kyu khote rahe muhabbat ko, wo saamne rehte to hum khwaab dekhte the. Usko na mila apna chehra meri nazar mein, aur uske chehre ko hum khwaabo mein dhoondhte the