Har Shakhs Ke Pehlu mein ek dil hota hai, Har Dil mein ek dard-e-awaaz hoti hai, Mumkin nahi ki har koi bana de Tajmahal, Par har dil mein ek Mumtaj Hoti hai....
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
chakh liya zaayeka-e-shayari jab se, lafzon me tarannum si aa gayi hai, arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai....!!!
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Mare duaoon main assar nahi.. Yeh raaz aaj muj per khull gia.. Jissay chaha main nay har dua kay baad..Woh shaks bin mangay kisse or ko mill gia.......
meri wafaoon ka ager sila hota.. Na pher zindagi sey humain gila hota.. Na kerty pher hum chand ki justajo ....Bas o shakhas ager mujey mila hota......