SMS Messages982 messages

Dhoka na dena ke tujpe aietbar bahut hai,ye dil tere chahat ka talabgar bahut hai, teri surat na dekhe to dikhai kuch nahi deta, hum kya kare ke tujse pyar bahut hai
Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya, Jo pyar karne pe majboor na karde wo ikraar hi kya, Intezar to sab karte hai..... Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!
Dil ki aawaj ko ikarar kahate hai Zhuki nighaho ko izhar kahate hai Khuch pane ka naam hi pyar nahi hota Kuch khone ko bhi pyar kahate hai
Meri har khata par naraz na hona, Apni pyari si muskan kabhi na khona, Sukoon milta he dekhkar apki muskurahat ko, Mujhe maut bhi aye to bhi mat rona.
Pyar chupta nahi aankhen chupaane se,Dil rukta nahi kisi ke samjhaane se.Ruk jaati hai dhadkan tujhe bhool jaane se,Hum tujhe yaad karte hain jeene ke bahaane se.
Unhe Pyar Karna nahi ata, aur hame Pyar ke sivay Kuch nahi ata... Jine ke sirf ye do raste hai, ek unhe nahi ata aur ek hame nahi ata...
Socha tha na karenge kisi se dosti, Na karenge kisi se vaada, Par kya kare dost mila itna pyara. K karna pada pyar ka vaada
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Lamhe ye suhane saath ho na ho, kal me aaj jaisi koi baat ho na ho, aapka pyar hamesha is dil mei rahega, chahe poori umar mulaqat ho na ho..
Vaade pe o aitbaar nahi karte, Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte. Darta hai dil unki ruswai se, Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte
Ye pyari nigahein yaad rahengi, milkar na milne ki ada yaad rahegi, mumkin nahi ki main tumhe bhula dun, aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi.
Mohobbat ka imtihan aasan nahi; pyar sirf pane ka naam nahi. Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein, ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.