SMS Messages968 messages

Unki yaadon main kabhi hum so bhi na sake... unke khayalon mein kabhi kho bhi na sake.. jab judaai ka waqt aaya to kismatt dekho.. hum aakhon se ro bhi na sake
tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
Dono aankhon mein ashq hua karte hain jab bhi tere yad aaye rvv liya karte hain jab tere palke jhapke samajh lena hum tumhe yaad kiya karte hain.
Muqaddar k sitaroon par, zamanay k isharoon par, udasi k kinaroon par, kabhi veraan shahraoun par, khabi sunsaan rastoon par, khabi hayraan aankhon main,khabi bayjaan lamhoon par, tumhari yaad holay say, koi sargoshi karti hay,ye palkain bheeg jati hain, du aansoon toot girtay hain, main palkoon ko jhukati hoon,bazahir muskurati hoon,faqat itna kehti hoon Mujha kitna satatay ho, mujha TUM yaad aatay ho...
Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad, kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat. Aaj wo hi nahin mere paas.Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha, jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha. Aaj wo hi nahin mere paas.
Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
Bewafai karna janti tau is kadar mohabaat na karte hum Yaadon ko seene se lagaye roz roz na marte hum
Ek khalbali machi hai mere andar hi andar, sham ko tufaan se hue manzar hi manzar, kaise main chain paau aise samay ziyaad, hawaa thami to dil mein bawandar hi bawandar
Dukh chhupay hoay hain hum dono Zakham khaay hoay hain hum dono Aisa lagta hay phir zamany ko Yaad aay hoay hain hum dono
Zamane Ko Dushman Banaya Tha Ek Tujhe Apnaya Tha Qabar Tak Yaad Rakhoon Ga Kisi Bewafa Se Dil Lagaya Tha
har ashq ka matlab gam nahin hota, durion se pyar kam nahin hota, waqt bewaqt ho jatin hai aankhain nam, kyounki yaadon ka koi mausam nahin hota,
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.