Kalam uthayi hai lafs nahi milta, jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta, firte hain vo jamaane ki talaash mein, bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!
Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain, Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?
kehte hai gam baatne se hota hai kam, aisa hi kabhi pele maante the hum, tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas, wo bhi baat du to rahega kya mere paas
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata
dard to bahut hoga jab huma aap se juda honge .....roenge hum magar aansoo na aaenge ...............jab saath koi na de aapka awaaj hame dena .......aasma per bhi honge to laut aayenge
Sabko dost banane ki adat hai ham me, apani alag pehchan banane ki adat hai ham me, kitna bhi gehra jakaham de koi, utna hi jayada muskarane ki adat hai humme.