dayare me rehna bhi zindagi hai to hadh se gujarna bhi zindagi hai khusiyoan ko baatna bhi zindagi haito yu gamo se ladna bhi zindagi hai yu to rehti hai hothon pe muskurahat par shayad chupke se dard sehna bhi zindagi hai
Kitabo mein phool rakhna darakhto pe naam likhna Tumhe bhi yaad hai wo harfe nazar se salaam likhna Woh sham ki mulaqate,wo pyar bhari baten Wo chote chote kagzo par muhabbato ke paigham likhna
Tera intzaar karke har raat ko tanha so jata hun.Subah hote hi phir tere milne ki aas me aankhe bhichata hun.Ye silsila ab tum khatam kar do,ek din milne ka mukarar kardo..
Yad Kisi Ko Karna Ye Baat Nahi Jatane Ki.Dil Par Chot Dena Adat Hai Zamane Ki.Ham Aapko Bilkul Yaad Nahi Karte.Kyunki Yaad Karna To Ek Nishani Hai Bhool Janeki.
Bahar hoti to titliya jarur aati,Nami aakho me ho to siskiya jarur aati,Kahne ko log kahte hai ke khub yaad aate hai,Magar yaad karte to hichkiya jarur aati.