Tumhe mai pyar kahun yaar kahun ya jane jana,Naam kuch bhi rahe tamana hai tumse mil jana,Jindagi rukati nahi kisike liye chhod apni raahein,Raah pal bhar ko badal kar meri raahein chamaka jana.
dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete, lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete, zuban humari himmat na kar payi, lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai, Aap karib ho to apnapan hai, Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Fir wahi fasaana afsaana sunati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho
ik mulakaat karo,enayat samajh kar, har cheez ka hisab dengay apna samajh kar, meri chahat par kabhi shak mat karna., hum piyar bhi karte hai ebadat samajh kar