yaado main kabhi aap bhi khoye hoge khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge maana hasna hai aadat gum chupaane ki par haste haste kabhi aap bhi roye hoge
Ehsaas Bohat Hoga Jab Chor Ke Jaingay Roengay Bohat Magar Aansu Nahi Aaengay Jab Saat Na De Koi To Awaz Hamain Dena Aasman Per Bhi Hongay To Lout Ke Aaengay
Yad Kisi Ko Karna Ye Baat Nahi Jatane Ki.Dil Par Chot Dena Adat Hai Zamane Ki.Ham Aapko Bilkul Yaad Nahi Karte.Kyunki Yaad Karna To Ek Nishani Hai Bhool Janeki.
Talaash karoge toh koi mil hi jayega,magar hamari tarah rishta kaun nibhayega,mana ki kam nehi hain ashiq apke,magar kya humari jagah kisi aur ko de payoge
Wakt Nay Sari Kahani hi Badal Dali.. Pyar Ka Naam Jo Aata Hai to Dar Lagta Hai.. Zakham kuch aise bhi apno NE diye hai mujhko.. AB koi haath milata hai to Dar lagta hai.....
Bemausam Barsat Aaj Mujhse Kuch Keh Gayi,In Baaho Me Aaj Phir Uski Kami Reh Gayi,Ek Pal Ke Liye Use Gale Lagaya Mene,Aur Phir Uski Yaad Aansu Bankar Beh Gayi.