SMS Messages14343 messages

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida,
Husna ko chand, Javani ko kammal kehte hain! Dekh kar hum tujhe, Ekh shauk ghazal kehte hain! Uff yeh sangeen huwa shafaf badan, Dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hain
Umar Jalwon Mein Basar Ho, yeh zaroori To Nahi, har Shab-e-gam Ki sahar Ho, yeh zaroori To Nahi, Neend To dard ke bistar pe Bhi Aa sakti Hai, teri Aagosh Mein Sir Ho, yeh zaroori To Nahi
Koyi dil me liye armaan chala jata hai Koyi khoye hue ausaad chala jata hai Husnawalo se keh do ke na nikle bahir Dekhnewalo ka imaan chala jata
Har Taraf khamoshi Ka Saaya Hai, Jise Chahate Hai hum woh ab paraya hai, Gir Pade hai hum mahobbat ki bhukh se, Aur log kehate hai ki pikar aaya he.
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Tarasta raha main umer sari parde bina tuje aaj saans hi na rahi jab tu ne parda hata diya.
Tum dil ko bekrar kyo nahi karte, Meri mohabbat par atbar kyo nahi karte, Jee nahi sakta hoke juda tumse, Lekin tum to mohabbat ka izhaar nahi karte.
Zindagi ko ek rangeen kalpana sajho, Subah ko sach or raat ko sapna samjho. Agar bhulna chahte ho sabhi gamo ko, To zindagi me kisi ko apna samjho.
Na gujarna aaj ke din kisi masjid ke paas se, Kahi log chand samajhkar apna roja na tod de, Aur hokar khafa khuda tumse kahin, Husn banana chod de.
Tu Mila Hai To Yeh Ahesaas Hai Mujhko.. Ye Meri Umra Muhabbat Ke Liye Thodi Hai... Ek Zara Sa, Zindagi Ka Bhi Haq Hai Jis Par, Maine Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai..."