Tamanna hai khushion ki bahar mile aapko, jo dil chahe wo baar - baar mile aapko, sab aksar pa kar kho dete hain, magar kabhi na khone wala pyaar mile aapko.
Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte, dil me rahne walo ki bat nahi karte, humari to ruh me bas gaye hai aap, tabhi to hum aapse milne ki fariyad nahi karte.
Dilse tera khayal na jaye to kya karu, tu hi bata tu yaad aaye to kya karu, hasrat ye hai ki ek nazar tujhe dekh lu, magar kismat wo lamha na laye to kya karu
'Dil k bazar me main sabse garib hu,khwabo ki duniya me 1 mai hi badnaseeb hu, unke paas mere liye waqt hi Nahi or log samajhte hai k mai unke sabse kareeb hu..
Kaash ye zalim judai na hoti... Rabba tune dil cheez banayi na hoti... Na hum unse milte aur na pyar hota... zindagi jo apni thi aaj parayi na hoti.....