MAANA KI AAJ HAMARE SAATH KOI DILDAAR NAHIN, LEKIN YE MAT SAMAJHNA KI HAMEIN KISI SE PYAR NAHIN, KISMAT NE SAB KUCHH DIYA HAMEN, SIRF DIYA HAMARA WOH YAAR NAHIN.
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Aj apne dil ke darwaze hamare liye kholdo, jo kuch he man me bas yehi pe boldo, agar pyaar nahi humse nazar milana chhod do, agar mera dil-dil nahi to mere samne tod do...!
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !
Na teer, na talvaar se ghayal hue hum... Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hum... Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay. Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay.