Kuch nasha to aapki baat ka hai, kuch nasha to dheemi barsaat ka hai, humein aap yun hi sharabi na kahiye, is dil par asar to aap se mulakat ka hai....!
Nazro ko nazaro ki kami nahi hoti , foolo ko baharo ki kami nahi hoti , fir kyo hume yaad karoge aap , aap to aasman ho or aasman me sitaro ki kami nahi hoti.
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Khab adhure sahi khab tumhare to hain.. Khab jhoote sahi khab sahare to hain.. Jaise taise kat jaye gi zindagi.. Tum humare na sahi hum tumhare to hain......