hum apne app par garoor nahi karte kisiko pyr karne par majbor nahi karte magr jise ek bar dil mein basa le phir marte damtak use dilse door nahi karte
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
Dil se Dil ke beech koshish se pool banaya na jaye Pyar ko jod-tod ki koshishon se ubhara na karo,Shabnami hawa hai, Diwanon ki basti hai,yeh Pyar hota hai khamosh, yeh shor dobara na karo.
ham apne aap mein yun gumm hue hein muddat se, hame to jaisay kisi ka bhi intezaar nahi… kisi ko toot kar chaahen ya chaah kar tootain, hamare paas to itna bhi ikhteyaar nahi…
Kushbu tere Pyar ki mujhe Mahka jati hai, teri har baat mujhe bahka jati hai, Saansen to bahut der leti hai aane jane me, Har saans k pahle mujhe teri yaad aati hai.
Har ghadi intezaar mein gujri,baato ke baad aapki yaadon mein gujri,hum to ek phool the, aap rakh ke bhule gaye,phir tamam umar aapki kitaab mein gujri.