Jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga, ek saroor sa uske dil pe chaya hoga... pehle socha hoga tujhe jannat mein rakh lun.. phir usse zoo ka khayal aaya hoga…
Aj khuda ki shararat samajh aae hai, is dharti par apki hukumat samajh aae hai, apko dharti par bhejna uska bahana tha RAVAN ke baad kisi ko to is dharti par aana tha....
Gam me jine me maza aata hai,gharibo ke ghar bhi khuda aata hai,hum hain jo baarish ki tarah roz sms karte hain,aur ek aap hain jinka sms sarkari nal mein pani ki tarah aata hai
Us pyari si surat ka phir ek baar deedar de, tadap rahe hain hum aur na intezaar de. Apni aawaz nahin sunani to na suna, aye zaalim ek missed call to maarde.
Aaj phir tum nazar nahi aye.. phir tamanna ke phool murjhaye. Na jaane kin galiyon mein kho gaye tum, Hum to police station se pagal khane tak dhoond aaye.