SMS Messages6119 messages

Agr khush hai wo dekh k ansu meri ankho me, to khuda ki kasam hum muskurana hi chod denge. Tadapte rahenge use dekhne ko magar uski taraf palke uthana hi chod denge.
Kyon koi chah kar mohobbat nibha nhi pata, Kyon koi chah kar rishta bana nhi pata, Kyon leti hai zindagi aisi karwat, Ki koi chah kar bi pyar jata nahi pata..
Jiss ko kehte hai mohabbat hai khuda ki nehmat, Sab ki kismat me ye daulat ho zaruri to nahi, Chand chunn-ne ki tamanna to hum ko bhi hai, Magar door kaa chand haqiqat ho zaruri to nahi
Anjaane me dil gawa baithe, Pyaar me ye kaisa dhokha kha baithe, Unn se kya gila kare bhool humari hi thi, Jo bina dil waalon se dil laga baithe.
Khamoshi aap ki hum se baat karti hai, Humari har aah ka dard samajhti hai, Pata hai majboor ho aap, Lekin aankhe aap ke deedar ko tarasti hai.
Zamin me koi nami nahi hai, Phoolon ke aanchal me koi kami nahi hai, Meri mohabbat ko thukra naa dena, Kyun ki meri mohabbat me koi kami nahi hai.
Kaisa ajeeb zamana hai, Kaun samjha kiss ne jaana hai, Kaash wo hum se juda naa hoote, Jinke liye ye dil aaj bhi deewaana hai.
Tere pyaar me wo kar ke dikhau, Marne ko keh do to marr ke dikhau, Phir se janam le ke iss duniya me aayu, Tamanna phir bhi yahi hogi tujh ko hi paaun.
Palkon pe sapne saja lein, Tum kaho to muskura lein, Ye zindagi-zindagi si lage, Agar hum tumhe paa lein.
Mehfil bani rahe yuhi tumhari, Chahe bikhar jaaye ye zindagi humari, Deewangi iss kadar ban gayi hai, Ke seh naa paaye ek pal judaii tumhari
Kya kahu kuch kaha nahi jaata, Dard mitha hai par saha nahi jaata, Mohabbat ho gayi hai iss kadar aap se, Bin yaad kiye aap ko raha nahi jaata
Dil chahe unhe dekhna, To aankhon ka kya kasoor, Har pal mehsoos ho unki khushboo, To saansoo ka kya kasoor.