SMS Messages301 messages

Mere Wajood mai kash wo utar jaye,Mai dekhoon Aaina aur wo nazar aaye,Wo ho samne aur Waqt thehar jaye,Ye zindagi us se yuhin dekhte huye guzar jaye.
Kitne Chehre hai Duniya me magar Hamko Ek Chehra Nazar Aata hai Duniya Ko Ab Hum Kya yaad karen Aapki Yaadon me Waqt sara Guzar jata hai.
Aaj fir kuch kamihe tere bagair Narang he na roshni he tere bagair Waqt apni raftar se chal raha he Bus dhadkan thami he tere bagair
La pila de saqiya paimana paimane ke baad Hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad Waqt do hi zindagi me guzre hai kathin Ek tere aane se pahle ek tere jane ke baad.
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Har ishk ka matlab gam nahi hota,duriyan badhne se pyar kam nahi hota,waqt bewaqt ho jati hai aankhen nam kyonki yaadon ka koi mausam nahi hota.
diya hai tune jo jakhm, wo waqt ke saath mit jaayega, na mitega to bas jakhm ka nishan khush hai hum k woh nishan bhi tumhaari yaad laayega....
Chaahne se koi chiz apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehana toh chahte hai bahut kuch, magar kabhi waqt toh kabhi jubaan saath nahi hoti…
Ek aansu hai hum, ajeeb dastan hai hamari, kuch ne navaza moti se toh kisine kaha paani, kuch ne kaha hum anmol hain, toh kisi k liye naa hamara koi mol hai. Jaane kya kismat hai humne payi joh har waqt mili hum ko tanhai, kitne din saath rahe in aankhon mein phir kyun chalak pade tum tanha ae harjaai…
Waqt guzarta par sanse thami thi, muskura rahe the hum, par ankhon me nami thi, sath hamare ye jahan tha sara, par na jane kyu tumhari Kami thi…
Sambhaalne se sambhal jayega sab, guzara waqt na aane dena tum ab, bhulana nahi to yaad bhi na karna, kisi ke pyar me khud ko yun barbaad na karna.
Kash ye pal yahi rukh jaye Aap se milne hum Daude chale aate, E-Khuda Ek kam yeah bhi kiya hota Ek Dil is Bedard Waqt ko bhi diya Hota