main akela kaha tera wajood ka saya sath hai.jawan raat mein chand chandni ke sath hai.Duriya kaha dur kar pati hai hume. sapno mein hi sahi tere hathon mein haath hai.
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
Yaad mein teri aankhe bharta hai koi, har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai, lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!