SMS Messages6119 messages

Log aate hain log jate hain, Pyar dete hai pyar le jate hai. Kabhi akele baithkar sochna, Jo sabse zyada pyar karte hai, Wohi sabse zyada dard de jate hai.
Yu hi nai tadapta dil kisi ka, Kuch to arman dil me sulgate hoge. Jab lagti hi hawa kisi ki yaadon ki to dil se bi khoon k aansu niklte hoge.
Ik zara si bhool khata ban gayi, meri vafai hi meri saza ban gai, dil liya aur khel kar tod diya, hamari jaan gai unki adaa ban gai.
kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Aaj fir se aakhein nam kyon hai ,Jise paya nahe use khoneka gam kyun hai , Tumse milkar bichde to ehsas hua,ki,Zindagi itne kam kyun hai..
La pila de saqiya paimana paimane ke baad Hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad Waqt do hi zindagi me guzre hai kathin Ek tere aane se pahle ek tere jane ke baad.
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Har ishk ka matlab gam nahi hota,duriyan badhne se pyar kam nahi hota,waqt bewaqt ho jati hai aankhen nam kyonki yaadon ka koi mausam nahi hota.
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya